raham kar zaalim ki kya bood-e--e-kushta hai
nabz-e-beemaar-e-wafa dood-e--e-kushta hai
dil-lagi ki aarzoo bechain rakhti hai hamein
warna yan be-raunqui sood-e-charaagh-e-kushta hai
nashsha-e-mai be-chaman dood-e-charaagh-e-kushta hai
jaam daagh-e-andood-e-charaagh-e-kushta hai
daagh-e-rabt-e-ham hain ahal-e-baagh gar gul ho shaheed
laala chashm-e-hasrat-aalood-e-charaagh-e-kushta hai
shor hai kis bazm ki arz-e-jaraahat-khana ka
subh yak-bazm-e-namak sood-e-charaagh-e-kushta hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai