raha gar koi ta-quayaamat salaamat
phir ik roz marna hai hazrat-salaamat
jigar ko mire -e-khoon-naaba-mashrab
likhe hai khudaawand-e-nemat salaamat
alarraghm-e-dushman shaheed-e-wafa hoon
mubaarak mubaarak salaamat salaamat
nahi gar sar-o-barg-e-idraak-e-maani
tamaasha-e-nairang-e-soorat salaamat
do-aalam ki hasti pe khatt-e- kheench
dil-o-dast-e-arbaab-e-himmat salaamat
nahi gar b-kaam-e-dil-e-khasta gardoon
jigar-khaai-e-josh-e-hasrat salaamat
na auron ki sunta na kahta hoon apni
sar-e-khasta dushwaar-e-wahshat salaamat
wafoor-e-bala hai hujoom-e-wafa hai
salaamat malaamat malaamat salaamat
na fikr-e-salaamat na beem-e-malaamat
ze-khud-raftagi-ha-e-hairat salaamat
rahe ghaalib-e-khasta maghloob-e-gardoon
ye kya be-niyaazi hai hazrat-salaamat
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai