raftaar-e-umr quat-e-rah-e-iztiraab hai
is saal ke hisaab ko barque aaftaab hai
meena-e-mai hai sarw nashaat-e- se
baal-e-tadarraw jalwa-e-mauj-e-sharaab hai
zakhmi hua hai paashna pa-e-sabaat ka
ne bhaagne ki goon na iquamat ki taab hai
jaadaad-e-baada-noshi-e-rindan hai shash-jihat
ghaafil guman kare hai ki geti kharaab hai
nazzaara kya hareef ho us barque-e- ka
josh-e-bahaar jalwe ko jis ke naquab hai
main naa-muraad dil ki tasalli ko kya karoon
maana ki tere rukh se nigah kaamyaab hai
guzra asad masarrat-e-paighaam-e-yaar se
quasid pe mujh ko rashk-e-sawaal-o-jawaab hai
zaahir hai tarz-e-quaid se sayyaad ki gharaz
jo daana daam mein hai so ashk-e-kabaab hai
be-chashm-e-dil na kar hawas-e-sair-e-laala-zaar
yaani ye har waraque waraque-e-intikhaab hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai