quatra-e-mai bas-ki hairat se nafas-parwar hua
khatt-e-jaam-e-mai saraasar rishta-e-gauhar hua
etibaar-e- ki khana-kharaabi dekhna
ghair ne ki aah lekin wo khafa mujh par hua
garmi-e-daulat hui aatish-zan-e-naam-e-niko
khana-e-khaatim mein yaaquoot-e-nagin akhtar hua
nashsha mein gum-karda- aaya wo mast-e-fitna-khoo
aaj rang-rafta daur-e-gardish-e-saaghar hua
dard se dar-parda di mizgan-siyaahan ne shikast
reza reza ustukhwan ka post mein nashtar hua
zohad gardeedan hai gard-e-khana-ha-e-munaiman
daana-e-tasbeeh se main mohra-dar-shashdar hua
ai b-zabt-e-haal-e-naa-afsurdaagan josh-e-junoon
nashsha-e-mai hai agar yak-parda naazuk-tar hua
is chaman mein resha-daari jis ne sar khencha asad
tar zabaan-e-lutf-e-aam-e-saaqui-e-kausar hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai