quafas mein hoon gar achchha bhi na jaanein mere shewan ko
mira hona bura kya hai nawa-sanjaan-e-gulshan ko
nahi gar hamadmi aasan na ho ye rashk kya kam hai
na di hoti khudaaya aarzoo-e-dost dushman ko
na nikla aankh se teri ik aansoo us jaraahat par
kiya seene mein jis ne khoon-chakan mizgaan-e-sozan ko
sharmaae haathon ko ki rakhte hain kashaakash mein
kabhi mere gareban ko kabhi jaanan ke daaman ko
abhi ham quatl-gah ka dekhna aasan samajhte hain
nahi dekha shanaawar joo-e-khoon mein tere tausan ko
hua charcha jo mere paanw ki zanjeer banne ka
kiya betaab kan mein jumbish-e-jauhar ne aahan ko
khushi kya khet par mere agar sau baar abr aawe
samajhta hoon ki dhoonde hai abhi se barque khirman ko
wafa-daari b-shart-e-ustuwaari asl iman hai
mare but-khaane mein toh kaabe mein gaado barahman ko
shahaadat thi miri quismat mein jo di thi ye khoo mujh ko
jahan talwaar ko dekha jhuka deta tha gardan ko
na lutta din ko toh kab ko yoon be-khabar sotaa!
raha khatka na chori ka dua deta hoon rahzan ko
sukhan kya kah nahi sakte ki jooya hoon jawaahir ke
jigar kya ham nahi rakhte ki khodein ja ke maadan ko
mire shaah-e-sulaiman-jaah se nisbat nahi ghaalib
fareedoon o jam o ke khusraw o daaraab o bahman ko
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai