phir kuchh ik ko be-quaraari hai
seena juya-e-zakhm-e-kaari hai
phir jigar khodne laga naakhun
aamad-e-fasl-e-laala-kaari hai
quibla-e-maqsad-e--e-niyaaz
phir wahi parda-e-amaari hai
chashm dallaal-e-jins-e-ruswaai
dil khareedaar-e-zauque-e-khwaari hai
wahi sad-rang naala-farsaai
wahi sad-gona ashk-baari hai
dil hawa-e-khiraam-e-naaz se phir
mahashristaan-e-sitaan-e-bequraari hai
jalwa phir arz-e-naaz karta hai
roz bazaar-e-jan-sipaari hai
phir usi bewfa pe marte hain
phir wahi zindagi hamaari hai
phir khula hai dar-e-adaalat-e-naaz
garm-bazaar-e-faujdaari hai
ho raha hai jahaan mein andher
zulf ki phir sirishta-daari hai
phir diya paara-e-jigar ne sawaal
ek fariyaad o aah-o-zaari hai
phir hue hain gawaah-e-ishq talab
ashk-baari ka hukm-jaari hai
dil o mizgan ka jo muqaddama tha
aaj phir us ki roo-bakaari hai
be-khudi be-sabab nahi ghaalib
kuchh toh hai jis ki parda-daari hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai