phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharaab
de bat-e-mai ko -o-dast-e-shana mauj-e-sharaab
poochh mat wajh-e-siyah-masti-e-arbaab-e-
saaya-e-taak mein hoti hai hawa mauj-e-sharaab
jo hua gharqua-e-mai bakht-e-rasa rakhta hai
sar se guzre pe bhi hai baal-e-huma mauj-e-sharaab
hai ye barsaat wo mausam ki ajab kya hai agar
mauj-e-hasti ko kare faiz-e-hawa mauj-e-sharaab
chaar mauj uthti hai toofaan-e-tarab se har soo
mauj-e-gul mauj-e-shafaque mauj-e-saba mauj-e-sharaab
jis quadar rooh-e-nabaati hai jigar tishna-e-naaz
de hai taskin b-dam-e-aab-e-baqua mauj-e-sharaab
bas-ki daude hai rag-e-taak mein khoon ho ho kar
shahpar-e-rang se hai baal-kusha mauj-e-sharaab
mauja-e-gul se charaaghan hai guzar-gaah-e-khayaal
hai tasawwur mein zi-bas jalwa-numa mauj-e-sharaab
nashshe ke parde mein hai mahaw-e-tamaasha-e-dimaagh
bas-ki rakhti hai sar-e-nash-o-numa mauj-e-sharaab
ek aalam pe hain toofaani-e-kaifiyat-e-fasl
mauja-e-sabza-e-nau-khez se ta mauj-e-sharaab
sharah-e-hangaama-e-hasti hai zahe mausam-e-gul
rah-bar-e-quatra-ba-dariya hai khosha mauj-e-sharaab
hosh udte hain mire jalwa-e-gul dekh asad
phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharaab
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai