pae-nazr-e-karam tohfa hai sharm-e-naa-rasaai ka
b-khoon-ghalteeda-e-sad-rang daawa paarsaai ka
na ho -e-tamaasha-dost ruswa bewfaai ka
b-mohar-e-sad- saabit hai daawa paarsaai ka
zakat-e-husn de ai jalwa-e-beenish ki mehar-aasa
charaagh-e-khana-e-darwesh ho kaasa gadaai ka
na maara jaan kar be-jurm ghaafil teri gardan par
raha maanind-e-khoon-e-be-gunah haque aashnaai ka
tamannaa-e-zabaan mahaw-e-sipaas-e-be-zabaani hai
mita jis se taquaza shikwa-e-be-dast-o-paai ka
wahi ik baat hai jo yan nafas wan nikhat-e-gul hai
chaman ka jalwa baais hai miri rangin-nawaai ka
dahaan-e-har-but-e-paighaara-joo zanjeer-e-ruswaai
adam tak bewfa charcha hai teri bewfaai ka
na de naale ko itna tool ghaalib mukhtasar likh de
ki hasrat-sanj hoon arz-e-sitam-ha-e-judaai ka
jahan mit jaae sai-e-deed khizraaabaad-e-aasaaish
b-jeb-e-har-nigah pinhan hai haasil rahnumaai ka
b-ijz-aabaad waham-e-muddaa tasleem-e-shokhi hai
taghaaful ko na kar masroof-e-tamkin-aazmaai ka
asad ka quissa toolaani hai lekin mukhtasar ye hai
ki hasrat-kash raha arz-e-sitam-ha-e-judaai ka
hawas gustaakhi-e-aaeena takleef-e-nazar-baazi
b-jeb-e-aarzoo pinhan hai haasil dilrubaai ka
nazar-baazi tilism-e-wahshat-aabaad-e-paristan hai
raha begaana-e-taaseer afsoon aashnaai ka
na paaya dardamand-e-doori-e-yaaraan-e-yak-dil ne
sawaad-e-khatt-e-peshaani se nuskha momyaai ka
asad ye ijz-o-be-saamaani-e-firaaun-e-tauam hai
jise tu bandagi kahta hai daawa hai khudaai ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai