pa-b-daaman ho raha hoon bas-ki main sahra-naward
khaar-e-pa hain jauhar-e-aaeena-e-zaanoo mujhe
dekhna haalat mire ki ham-aaghoshi ke waqt
hai -e-aashna tera sar-e-har-moo mujhe
hoon saraapa saaz-e-aahang-e-shikaayat kuchh na poochh
hai yahi behtar ki logon mein na chhede tu mujhe
baais-e-waamaandagi hai umr-e-fursat-joo mujhe
kar diya hai pa-b-zanjeer-e-ram-e-aahoo mujhe
khaak-e-fursat bar-sar-e-zauque-e-fanaa ai intizaar
hai ghubaar-e-sheesha-e-saaat ram-e-aahoo mujhe
ham-zaban aaya nazar fikr-e-sukhan mein tu mujhe
mardumuk hai tooti-e-aaeena-e-zaanoo mujhe
yaad-e-mizgan mein b-nashtar-e-zaar-e-sauda-e-khayaal
chahiye waqt-e-tapish yak-dast sad-pahloo mujhe
iztiraab-e-umr be-matlab nahi aakhir ki hai
justujoo-e-fursat-e-rabt-e-sar-e-zaanoo mujhe
chahiye darmaan-e-reesh-e-dil bhi tegh-e-yaar se
maram-e-zangaar hai wo wasma-e-abroo mujhe
kasrat-e-jaur-o-sitam se ho gaya hoon be-dimaagh
khoob-rooyon ne banaaya ghaalib-e-bad-khoo mujhe
fursat-e-aaraam-e-ghash hasti hai bohraan-e-adam
hai shikast-e-rang-e-imkan gardish-e-pahloo mujhe
saaz-e-ima-e-fanaa hai aalam-e-peeri asad
quamat-e-kham se hai haasil shokhi-e-abroo mujhe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai