nukta-chin hai -e-dil us ko sunaae na bane
kya bane baat jahan baat banaae na bane
main bulaata toh hoon us ko magar ai jazba-e-
us pe ban jaae kuchh aisi ki bin aae na bane
khel samjha hai kahin chhod na de bhool na jaae
kaash yoon bhi ho ki bin mere sataae na bane
ghair phirta hai liye yoon tire khat ko ki agar
koi poochhe ki ye kya hai toh chhupaae na bane
is nazaakat ka bura ho wo bhale hain toh kya
haath aawein toh unhein haath lagaae na bane
kah sake kaun ki ye jalwaagri kis ki hai
parda chhoda hai wo us ne ki uthaae na bane
maut ki raah na dekhoon ki bin aae na rahe
tum ko chaahoon ki na aao toh bulaae na bane
bojh wo sar se gira hai ki uthaae na uthe
kaam wo aan pada hai ki banaae na bane
ishq par zor nahi hai ye wo aatish ghaalib
ki lagaae na lage aur bujhaae na bane
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai