naqsh fariyaadi hai kis ki shokhi-e-tahreer ka
kaaghzi hai pairhan har paikar-e-tasweer ka
kaaw kaaw-e-sakht-jaani haae- na poochh
subh karna shaam ka laana hai joo-e-sheer ka
jazba-e-be-ikhtiyaar-e-shauque dekha chahiye
seena-e-shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka
aaghi daam-e-shuneedan jis quadar chaahe bichhaae
muddaa anqua hai apne aalam-e-taqureer ka
bas-ki hoon ghaalib aseeri mein bhi aatish zer-e-pa
moo-e-aatish deeda hai halqua miri zanjeer ka
aatishin-pa hoon gudaaz-e-wahshat-e-zindan na poochh
moo-e-aatish deeda hai har halqua yan zanjeer ka
shokhi-e-nairang said-e-wahshat-e-taaoos hai
daam-e-sabza mein hai parwaaz-e- taskheer ka
lazzat-e-ijaad-e-naaz afsoon-e-arz-zauque-e-quatl
naal aatish mein hai tegh-e-yaar se nakhcheer ka
khisht pusht-e-dast-e-ijz o qualib aaghosh-e-widaaa
pur hua hai sail se paimaana kis taameer ka
wahshat-e-khawaab-e-adam shor-e-tamaasha hai asad
jo mazaa jauhar nahi aaeena-e-taabeer ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai