nahi hai zakhm koi bakhiye ke dar-khur mire tan mein
hua hai taar-e-ashk-e-yaas rishta chashm-e-sozan mein
hui hai maane-e-zauque-e-tamaasha khana-weeraani
kaf-e-sailaab baaqui hai b-rang-e-pumba rauzan mein
wadeeat-khana-e-bedaad-e-kaawish-ha-e-mizgan hoon
nageen-e-naam-e-shaahid hai mire har quatra-e-khoon tan mein
bayan kis se ho zulmat-gustari mere shabistan ki
-e-mah ho jo rakh doon pumba deewaaron ke rauzan mein
nikohish maana-e-be-rabti-e-shor-e-junoon aai
hua hai khanda-e-ahbaab bakhiya jeb-o-daaman mein
hue us mehar-wash ke jalwa-e-timsaal ke aage
par-afshan jauhar aaeene mein misl-e-zarra rauzan mein
na jaanoon nek hoon yaa bad hoon par sohbat-mukhaalif hai
jo hoon toh hoon gulkhan mein jo khas hoon toh hoon gulshan mein
hazaaron dil diye josh-e-junoon-e-ishq ne mujh ko
siyah ho kar suwaida ho gaya har quatra-e-khoon tan mein
asad zindaani-e-taaseer-e-ulfat-ha-e-khooban hoon
kham-e-dast-e-nawaazish ho gaya hai tauque gardan mein
fuzoon ki doston ne hirs-e-quatil zauque-e-kushtan mein
hoe hain bakhiya-ha-e-zakhm jauhar tegh-e-dushman mein
tamaasha karadni hai lutf-e-zakhm-e-intizaar ai dil
suwaida daagh-e-marham mardumuk hai chashm-e-sozan mein
dil-o-deen-o-khirad taaraaj-e-naaz-e-jalwa-pairaai
hua hai jauhar-e-aaeena khel-e-mor khirman mein
nikohish maane-e-deewaangi-ha-e-junoon aai
lagaaya khanda-e-naaseh ne bakhiya jeb-o-daaman mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai