nafas na anjuman-e-aarzoo se baahar kheench
agar sharaab nahi intizaar-e-saaghar kheench
kamaal-e-garmi-e-sai-e-talaash-e-deed na poochh
b-rang-e-khaar mire aaine se jauhar kheench
tujhe bahaana-e-raahat hai intizaar ai
kiya hai kis ne ishaara ki naaz-e-bistar kheench
tiri taraf hai b-hasrat nazaara-e-nargis
b-kori-e--o-chashm-e-raqueeb saaghar kheench
b-neem-ghamza ada kar haque-e-wadeeat-e-naaz
niyaam-e-parda-e-zakhm-e-jigar se khanjar kheench
mire quadah mein hai sahba-e-aatish-e-pinhan
b-roo-e-sufra kabaab-e-dil-e-samandar kheench
na kah ki taaqat-e-ruswaai-e-wisaal nahi
agar yahi araque-e-fitna hai mukarrar kheench
junoon-e-aaina mushtaaque-e-yak-tamaasha hai
hamare safhe pe baal-e-pari se mistar kheench
khumaar-e-minnat-e-saaqui agar yahi hai asad
dil-e-gudaakhta ke mai-kade mein saaghar kheench
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai