naala juz -e-talab ai sitam-ijaad nahi
hai taquaza-e- shikwa-e-bedaad nahi
ishq-o-mazdoori-e-ishrat-gah-e-khusraw kya khoob
ham ko tasleem niko-naami-e-farhaad nahi
kam nahi wo bhi kharaabi mein p wusaat maaloom
dasht mein hai mujhe wo aish ki ghar yaad nahi
ahal-e-beenash ko hai toofaan-e-hawaadis maktab
lutma-e-mauj kam-az saili-e-ustaad nahi
waae mahroomi-e-tasleem-o-bada haal-e-wafa
jaanta hai ki hamein taaqat-e-faryaad nahi
rang-e-tamkeen-e-gul-o-laala pareshan kyoon hai
gar charaaghaan-e-sar-e-rah-guzar-e-baad nahi
sabad-e-gul ke tale band kare hai gulchin
muzda ai murgh ki gulzaar mein sayyaad nahi
nafy se karti hai isbaat taraawish goya
di hai ja-e-dahan us ko dam-e-ijaad nahi
kam nahi jalwaagri mein tire kooche se bahisht
yahi naqsha hai wale is quadar aabaad nahi
karte kis munh se ho ghurbat ki shikaayat ghaalib
tum ko be-mehri-e-yaaraan-e-watan yaad nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai