na lewe gar khas-e-jauhar taraawat sabza-e-khat se
lagaae khana-e-aaeena mein roo-e-nigaar aatish
farogh-e- se hoti hai hall-e-mushkil-e-aashique
na nikle shama ke pa se nikaale gar na khaar aatish
sharar hai rang baad izhar-e-taab-e-jalwa-e-tamkin
kare hai sang par khursheed aab-e-roo-e-kaar aatish
panaawe be-gudaaz-e-mom rabt-e-paikar-aaraai
nikaale kya nihaal-e-shama be-tukhm-e-sharaar aatish
khayaal-e-dood tha sar-josh-e-saaैda-e-ghalat-fahmi
agar rakhti na khaakistar-nasheeni ka aatish
hawa-e-par-fishaani barque-e-khirman-ha-e-khaatir hai
b-baal-e-shola-e-betaab hai parwaana-zaar aatish
nahi barque-o-sharar juz wahshat-e-zabt-e-tapeedan-ha
bila gardaan-e-be-parwa kharaami-ha-e-yaar aatish
dhuein se aag ke ik abr-e-dariya-baar ho paida
asad haidar-paraston se agar howe do-chaar aatish
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai