na hoga yak-bayaaban maandagi se zauque kam mera
habaab-e-mauja-e-raftaar hai naqsh-e-quadam mera
mohabbat thi se lekin ab ye be-dimaaghi hai
ki mauj-e-boo-e- se naak mein aata hai dam mera
rah-e-khwaabeeda thi gardan-kash-e-yak-dars-e-aagaahi
zamin ko saili-e-ustaad hai naqsh-e-quadam mera
suraagh-aawaara-e-arz-e-do-aalam shor-e-mahshar hoon
par-afshan hai ghubaar aan soo-e-sahra-e-adam mera
hawa-e-subh yak-aalam gareban chaaki-e-gul hai
dahaan-e-zakhm paida kar agar khaata hai gham mera
na ho wahshat-kash-e-dars-e-saraab-e-satr-e-aagaahi
main gard-e-raah hoon be-muddaa hai pech-o-kham mera
asad wahshat-parast-e-gosha-e-tanhaai-e-dil hai
b-rang-e-mauj-e-mai khamyaaza-e-saaghar hai ram mera
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai