na -e-naghma hoon na parda-e-saaz
main hoon apni shikast ki aawaaz
tu aur aaraaish-e-kham-e-kaakul
main aur andesha-ha-e-door-daraaz
laaf-e-tamkin fareb-e-saada-dili
ham hain aur raaz-ha-e-seena-gudaaz
hoon giraftaar-e-ulfat-e-sayyaad
warna baaqui hai taaqat-e-parwaaz
wo bhi din ho ki us sitamgar se
naaz kheenchoon bajaae hasrat-e-naaz
nahi mein mire wo quatra-e-khoon
jis se mizgan hui na ho gul-baaz
ai tira ghamza yak-qualam-angez
ai tira zulm sar-b-sar andaaz
tu hua jalwa-gar mubaarak ho
rezish-e-sajda-e-jabeen-e-niyaaz
mujh ko poochha toh kuchh ghazab na hua
main ghareeb aur tu ghareeb-nawaaz
asad-ullaah khan tamaam hua
ai daregha wo rind-e-shaahid-baaz
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai