muzda ai zauque-e-aseeri ki aata hai
daam-e-khaali quafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas
jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na hua
joo-e-khoon ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas
mund gain kholte hi kholte aankhein hai hai
khoob waqt aae tum is aashique-e-beemaar ke paas
main bhi ruk ruk ke na marta jo zaban ke badle
dashna ik tez sa hota mire -khwaar ke paas
dahan-e-sher mein ja baithe lekin ai dil
na khade ho jiye khoobaan-e-dil-aazaar ke paas
dekh kar tujh ko chaman bas-ki numoo karta hai
khud-b-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas
mar gaya phod ke sar ghaalib-e-wahshi hai hai
baithna us ka wo aa kar tiri deewar ke paas
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai