miri hasti faza-e-hairat aabaad-e-tamannaa hai
jise kahte hain naala wo usi aalam ka anqua hai
khizan kya fasl-e- kahte hain kis ko koi mausam ho
wahi ham hain quafas hai aur maatam baal-o-par ka hai
wafa-e-dilabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad-e--ha-e-hazin ka kis ne dekha hai
na laai shokhi-e-andesha taab-e-ranj-e-naumeedi
kaf-e-afsos milna ahad-e-tajdeed-e-tamannaa hai
na sowe aablon mein gar sarishk-e-deeda-e-naam se
b-jaulan-gaah-e-naumeedi nigaah-e-aajizan pa hai
b-sakhti-ha-e-quaid-e-zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said-e-daam-e-rishta-e-rag-ha-e-khaara hai
taghful-masharbi se naa-tamaami bas-ki paida hai
nigaah-e-naaz chashm-e-yaar mein zunnaar-e-meena hai
tasarruf wahshiyon mein hai tasawwur-ha-e-majnoon ka
sawaad-e-chashm-e-aahoo aks-e-khaal-e-roo-e-laila hai
mohabbat tarz-e-paiwand-e-nihaal-e-dosti jaane
daweedan resha san muft-e-rag-e-khawaab-e-zulekha hai
kiya yak-sar gudaaz-e-dil niyaaz-e-joshish-e-hasrat
suwaida nuskha-e-tah-bandi-e-daagh-e-tamannaa hai
hujoom-e-rezish-e-khoon ke sabab rang ud nahi sakta
hina-e-panja-e-saiyyaad murgh-e-rishta bar-pa hai
asar soz-e-mohabbat ka quayaamat be-muhaaba hai
ki rag se sang mein tukhm-e-sharar ka resha paida hai
nihan hai gauhar-e-maqsood jeb-e-khud-shanaasi mein
ki yan ghawwaas hai timsaal aur aaeena dariya hai
azeezo zikr-e-wasl-e-ghair se mujh ko na bahlaao
ki yan afsoon-e-khawaab afsaana-e-khawaab-e-zulekha hai
tasawwur bahar-e-taskeen-e-tapeedan-ha-e-tifl-e-dil
b-baagh-e-rang-ha-e-rafta gul-cheen-e-tamaasha hai
b-sai-e-ghair hai quat-e-libaas-e-khana-weeraani
ki naaz-e-jaada-e-rah rishta-e-daamaan-e-sahra hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai