maze jahaan ke apni nazar mein nahi
siwaae khoon-e-jigar so jigar mein nahi
magar ghubaar hue par hawa uda le jaae
wagarna taab o tawan baal-o-par mein khaak nahi
ye kis bahisht-shamaail ki aamad aamad hai
ki ghair-e-jalwa-e-gul rahguzar mein khaak nahi
bhala use na sahi kuchh mujhi ko raham aata
asar mire nafas-e-be-asar mein khaak nahi
khayaal-e-jalwa-e-gul se kharaab hain mai-kash
sharaab-khaane ke deewar-o-dar mein khaak nahi
hua hoon ishq ki ghaarat-gari se sharminda
siwaae hasrat-e-taameer ghar mein khaak nahi
hamare sher hain ab sirf dil-lagi ke asad
khula ki faaeda arz-e-hunar mein khaak nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai