mat mardumak-e-deeda mein samjho ye nigaahein
hain jama suwaida-e--e-chashm mein aahein
kis pe hai azm-e-saf-e-mizgaan-e-khud-aara
aaeene ke paayaab se utri hain sipaahein
dair-o-haram aaeena-e-takraar-e-tamannaa
waamaandagi-e-shauque taraashe hai panaahein
joon mardumak-e-chashm se hon jama nigaahein
khwaabeeda b-hairat-kada-e-daagh hain aahein
phir halqua-e-kaakul mein padin deed ki raahein
joon dood faraaham huin rauzan mein nigaahein
paaya sar-e-har-zarra jigar-gosha-e-wahshat
hain daagh se maamoor shaquaique ki kulaahein
ye matla asad jauhar-e-afsoon-e-sukhan ho
gar arz-e-tapaak-e-jigar-e-sokhta chaahein
hairat-kash-e-yak-jalwa-e-maani hain nigaahein
kheenchoon hoon suwaida-e-dil-e-chashm se aahein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai