masjid ke zer-e-saaya kharaabaat chahiye
bhaun paas aankh quibla-e-haajaat chahiye
aashique hue hain aap bhi ek aur shakhs par
aakhir sitam ki kuchh toh mukaafaat chahiye
de daad ai falak -e-hasrat-parast ki
han kuchh na kuchh talaafi-e-maafaat chahiye
seekhe hain mah-rukhon ke liye ham musawwari
taqureeb kuchh toh bahar-e-mulaaquat chahiye
mai se gharaz nashaat hai kis roo-siyaah ko
ik-goona be-khudi mujhe din chahiye
nashw-o-numa hai asl se ghaalib furooa ko
khaamoshi hi se nikle hai jo baat chahiye
hai rang-e-laala-o-gul-o-nasrin juda juda
har rang mein bahaar ka isbaat chahiye
sar pa-e-khum pe chahiye hangaam-e-be-khudi
roo soo-e-quibla waqt-e-munaajaat chahiye
yaani b-hasb-e-gardish-e-paimaan-e-sifaat
aarif hamesha mast-e-mai-e-zaat chahiye
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai