manzoor thi ye shakl tajalli ko ki
quismat khuli tire quad-o-rukh se zuhoor ki
ik khoon-chakan mein karodon banaao hain
padti hai aankh tere shaheedon pe hoor ki
waaiz na tum piyo na kisi ko pila sako
kya baat hai tumhaari sharaab-e-tahoor ki
ladta hai mujh se hashr mein quatil ki kyoon utha
goya abhi suni nahi aawaaz soor ki
aamad bahaar ki hai jo bulbul hai naghma-sanj
udti si ik khabar hai zabaani tuyoor ki
go wan nahi p wan ke nikaale hue toh hain
kaabe se in buton ko bhi nisbat hai door ki
kya farz hai ki sab ko mile ek sa jawaab
aao na ham bhi sair karein koh-e-toor ki
garmi sahi kalaam mein lekin na is quadar
ki jis se baat us ne shikaayat zaroor ki
ghaalib gar is safar mein mujhe saath le chalein
haj ka sawaab nazr karoonga huzoor ki
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai