main unhein chhedoon aur kuchh na kahein
chal nikalte jo mai piye hote
quahar ho yaa bala ho jo kuchh ho
kaash ke tum mire liye hote
meri quismat mein gar itna tha
bhi yaa-rab kai diye hote
aa hi jaata wo raah par ghaalib
koi din aur bhi jiye hote
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai