mahram nahi hai tu hi nawa-ha-e-raaz ka
yan warna jo hijaab hai parda hai saaz ka
rang-e-shikasta subh-e--e-nazaara hai
ye waqt hai shaguftan-e--ha-e-naaz ka
tu aur soo-e-ghair nazar-ha-e-tez tez
main aur dukh tiri miza-ha-e-daraaz ka
sarfa hai zabt-e-aah mein mera wagarna mein
toma hoon ek hi nafas-e-jan-gudaaz ka
hain bas-ki josh-e-baada se sheeshe uchhal rahe
har gosha-e-bisaat hai sar sheesha-baaz ka
kaawish ka dil kare hai taquaza ki hai hunooz
naakhun pe quarz is girah-e-neem-baaz ka
taaraaj-e-kaawish-e-gham-e-hijran hua asad
seena ki tha dafeena guhar-ha-e-raaz ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai