loon waam bakht-e-khufta se yak-khawaab-e-khush wale
ghaalib ye khauf hai ki kahan se ada karoon
khush wahashte ki arz-e--e-fanaa karoon
joon gard-e- jaama-e-hasti quaba karoon
aa ai bahaar-e-naaz ki tere khiraam se
dastaar gird-e-shaakh-e-gul-e-naqsh-e-pa karoon
khush uftaadgi ki b-sahra-e-intizaar
joon jaada gard-e-rah se nigah surma-sa karoon
sabr aur ye ada ki dil aawe aseer-e-chaak
dard aur ye kamin ki rah-e-naala wa karoon
wo be-dimaagh-e-minnat-e-iqubaal hoon ki main
wahshat b-daagh-e-saaya-e-baal-e-huma karoon
wo iltimaas-e-lajzat-e-be-daad hoon ki main
tegh-e-sitam ko pusht-e-kham-e-iltija karoon
wo raaz-e-naala hoon ki b-sharah-e-nigaah-e-ajz
afshan ghubaar-e-surma se fard-e-sada karoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai