lataafat be-kasaafat jalwa paida kar nahi sakti
zangaar hai aaeena-e-baad-e-bahaari ka
hareef-e-joshish-e- nahi khuddaari-e-saahil
jahan saaqui ho tu baatil hai daawa hoshiyaari ka
bahaar-e-rang-e-khoon-e-gul hai saaman ashk-baari ka
junoon-e-barque nashtar hai rag-e-abr-e-bahaari ka
bara-e-hall-e-mushkil hoon zi-pa uftaada-e-hasrat
bandha hai uqda-e-khaatir se paiman khaaksaari ka
b-waqt-e-sar-nigooni hai tasawwur intizaaristan
nigah ko aablon se shaghl hai akhtar-shumaari ka
asad saaghar-kash-e-tasleem ho gardish se gardoon ki
ki nang-e-faham-e-mastan hai gila bad-rozgaari ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai