larazta hai mira zahmat-e-mehar-e-darakhshan par
main hoon wo quatra-e-shabnam ki ho khaar-e-bayaaban par
na chhodi hazrat-e-yoosuf ne yan bhi khana-aaraai
safedi deeda-e-yaaquoob ki phirti hai zindan par
taaleem-e-dars-e-be-khudi hoon us zamaane se
ki majnoon laam alif likhta tha deewar-e-dabistan par
faraaghat kis quadar rahti mujhe tashweesh-e-marham se
baham gar sulh karte paara-ha-e-dil namak-dan par
nahi iquleem-e-ulfat mein koi toomaar-e-naaz aisa
ki pusht-e-chashm se jis ki na howe mohar unwan par
mujhe ab dekh kar abar-e-shafaque-aalooda yaad aaya
ki furqat mein tiri aatish barasti thi gulistan par
b-juz parwaaz-e-shauque-e-naaz kya baaqui raha hoga
quayaamat ik hawa-e-tund hai khaak-e-shaheedan par
na lad naaseh se ghaalib kya hua gar us ne shiddat ki
hamaara bhi toh aakhir zor chalta hai gareban par
dil-e-khoonin-jigar be-sabr-o-faiz-e-ishq-e-mustaghni
ilaahi yak quayaamat khaawar aa toote badakhshan par
asad ai be-tahammul arabda be-ja hai naaseh se
ki aakhir be-kason ka zor chalta hai gareban par
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai