lab-e-khushk dar-tishnagi-murdagan ka
ziyaarat-kada hoon -aazurdagan ka
hama naa-umeedi hama bad-gumaani
main hoon fareb-e-wafa-khurdagan ka
shaguftan kamin-gaah-e-taqureeb-jooi
tasawwur hoon be-mojib aazurdagan ka
ghareeb-e-sitam-deeda-e-baaz-gashtan
sukhan hoon sukhan bar lab-aawurdagan ka
saraapa yak-aaeena-daar-e-shikastan
iraada hoon yak-aalam-afsurdagan ka
b-soorat takalluf b-maani taassuf
asad main tabassum hoon pazmurdagan ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai