laaghar itna hoon ki gar tu bazm mein ja de mujhe
mera zimma dekh kar gar koi batla de mujhe
kya taajjub hai jo us ko dekh kar aa jaae raham
wan talak koi kisi heele se pahuncha de mujhe
munh na dikhlaawe na dikhla par b--e-itaab
khol kar zara aankhein hi dikhla de mujhe
yan talak meri giraftaari se wo khush hai ki main
zulf gar ban jaaoon toh shaane mein uljha de mujhe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai