kya tang ham sitam-zadgan ka hai
jis mein ki ek baiza-e-mor aasmaan hai
hai kaaenaat ko harkat tere zauque se
partaw se aaftaab ke zarre mein jaan hai
haalaanki hai ye seeli-e-khaara se laala rang
ghaafil ko mere sheeshe pe mai ka gumaan hai
ki us ne garm seena-e-ahal-e-hawas mein ja
aawe na kyoon pasand ki thanda makaan hai
kya khoob tum ne ghair ko bosa nahi diya
bas chup raho hamare bhi munh mein hai
baitha hai jo ki saaya-e-deewar-e-yaar mein
farman-rawa-e-kishwar-e-hindustaan hai
hasti ka etibaar bhi gham ne mita diya
kis se kahoon ki daagh jigar ka nishaan hai
hai baare etimaad-e-wafa-daari is quadar
ghaalib ham is mein khush hain ki naa-meharbaan hai
dehli ke rahne waalo asad ko sataao mat
be-chaara chand roz ka yan mehmaan hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai