koi din gar zindagaani aur hai
apne ji mein ham ne thaani aur hai
aatish-e-dozakh mein ye garmi kahan
soz-e--ha-e-nihaani aur hai
baar-ha dekhi hain un ki ranjishein
par kuchh ab ke sargiraani aur hai
de ke khat munh dekhta hai naama-bar
kuchh toh paighaam-e-zabaani aur hai
quata-e-emaar hai aksar nujoom
wo bala-e-aasmaani aur hai
ho chukin ghaalib balaaein sab tamaam
ek -e-naa-gahaani aur hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai