kisi ko de ke koi nawa-sanj-e-fughan kyoon ho
na ho jab hi seene mein toh phir munh mein zaban kyoon ho
wo apni khoo na chhodenge ham apni waza kyoon chhodein
subuk-sar ban ke kya poochhein ki ham se sargiran kyoon ho
kiya gham-khwaar ne ruswa lage aag is mohabbat ko
na laawe taab jo gham ki wo mera raaz-dan kyoon ho
wafa kaisi kahan ka ishq jab sar phodna thahra
toh phir ai sang-dil tera hi sang-e-aastan kyoon ho
quafas mein mujh se roodaad-e-chaman kahte na dar hamdam
giri hai jis pe kal bijli wo mera aashiyan kyoon ho
ye kah sakte ho ham dil mein nahi hain par ye batlaao
ki jab dil mein tumhin tum ho toh aankhon se nihan kyoon ho
ghalat hai jazb-e-dil ka shikwa dekho jurm kis ka hai
na kheencho gar tum apne ko kashaakash darmiyan kyoon ho
ye fitna aadmi ki khana-weeraani ko kya kam hai
hue tum dost jis ke dushman us ka aasman kyoon ho
yahi hai aazmaana toh sataana kis ko kahte hain
adoo ke ho liye jab tum toh mera imtihan kyoon ho
kaha tum ne ki kyoon ho ghair ke milne mein ruswaai
baja kahte ho sach kahte ho phir kahiyo ki han kyoon ho
nikaala chaahta hai kaam kya taanon se tu ghaalib
tire be-mehar kahne se wo tujh par meharban kyoon ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai