ki wafa ham se toh ghair is ko kahte hain
hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain
aaj ham apni pareshaani-e-khaatir un se
kahne jaate toh hain par dekhiye kya kahte hain
agle waqton ke hain ye log inhein kuchh na kaho
jo mai o naghma ko andoh-ruba kahte hain
mein aa jaae hai hoti hai jo fursat ghash se
aur phir kaun se naale ko rasa kahte hain
hai par-e-sarhad-e-idraak se apna masjood
quible ko ahal-e-nazar quibla-numa kahte hain
pa-e-afgaar pe jab se tujhe raham aaya hai
khaar-e-rah ko tire ham mehar-e-giya kahte hain
ik sharar dil mein hai us se koi ghabraaega kya
aag matloob hai ham ko jo hawa kahte hain
dekhiye laati hai us shokh ki nakhwat kya rang
us ki har baat pe ham naam-e-khuda kahte hain
wahshat o shefta ab marsiya kahwein shaayad
mar gaya ghaalib-e-aashufta-nawa kahte hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai