kal ke liye kar aaj na khissat sharaab mein
ye soo-e-zan hai saaqui-e-kausar ke baab mein
hain aaj kyoon zaleel ki kal tak na thi pasand
gustaakhi-e-farishta hamaari janaab mein
jan kyoon nikalne lagti hai tan se dam-e-sama
gar wo sada samaai hai chang o rabaab mein
rau mein hai rakhsh-e-umr kahan dekhiye thame
ne haath baagh par hai na pa hai rikaab mein
utna hi mujh ko apni haqueeqat se bod hai
jitna ki waham-e-ghair se hoon pech-o-taab mein
asl-e-shuhood-o-shaahid-o-mashhood ek hai
hairan hoon phir mushaahida hai kis hisaab mein
hai mushtamil numood-e-suwar par wajood-e-bahar
yan kya dhara hai quatra o mauj-o-habaab mein
sharm ik ada-e-naaz hai apne hi se sahi
hain kitne be-hijaab ki hain yoon hijaab mein
aaraaish-e- se faarigh nahi hunooz
pesh-e- hai aaina daaim naquab mein
hai gai़b-e-ghaib jis ko samajhte hain ham shuhood
hain khawaab mein hunooz jo jaage hain khawaab mein
ghaalib nadeem-e-dost se aati hai boo-e-dost
mashghool-e-haque hoon bandagi-e-boo-taraab mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai