kahoon jo haal toh kahte ho muddaa kahiye
tumhin kaho ki jo tum yoon kaho toh kya kahiye
na kahiyo taan se phir tum ki ham sitamgar hain
mujhe toh khoo hai ki jo kuchh kaho baja kahiye
wo neshtar sahi par mein jab utar jaawe
-e-naaz ko phir kyoon na aashna kahiye
nahi zareeya-e-raahat jaraahat-e-paikan
wo zakhm-e-tegh hai jis ko ki dil-kusha kahiye
jo muddai bane us ke na muddai baniye
jo naa-saza kahe us ko na naa-saza kahiye
kahin haqueeqat-e-jan-kaahi-e-maraz likhiye
kahin museebat-e-naa-saazi-e-dawa kahiye
kabhi shikaayat-e-ranj-e-giran-nashin keeje
kabhi hikaayat-e-sabr-e-gurez-pa kahiye
rahe na jaan toh quatil ko khoon-baha deeje
kate zabaan toh khanjar ko marhaba kahiye
nahi nigaar ko ulfat na ho nigaar toh hai
rawaani-e-rawish o masti-e-ada kahiye
nahi bahaar ko fursat na ho bahaar toh hai
taraawat-e-chaman o khoobi-e-hawa kahiye
safeena jab ki kinaare pe aa laga ghaalib
khuda se kya sitam-o-jaur-e-naa-khuda kahiye
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai