kahte ho na denge ham agar pada paaya
kahan ki gum keeje ham ne muddaa paaya
ishq se tabeeat ne zeest ka mazaa paaya
dard ki dawa paai dard-e-be-dawa paaya
dost-daar-e-dushman hai etimaad-e-dil maaloom
aah be-asar dekhi naala naa-rasa paaya
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein juraat-aazma paaya
ghuncha phir laga khilne aaj ham ne apna dil
khoon kiya hua dekha gum kiya hua paaya
haal-e-dil nahi maaloom lekin is quadar yaani
ham ne baar-ha dhoonda tum ne baar-ha paaya
shor-e-pand-e-naaseh ne zakhm par namak chhidka
aap se koi poochhe tum ne kya mazaa paaya
hai kahan tamannaa ka doosra quadam yaa rab
ham ne dasht-e-imkan ko ek naqsh-e-pa paaya
be-dimaagh-e-khajlat hoon rashk-e-imtihan ta-kai
ek beksi tujh ko aalam-aashna paaya
khaak-baazi-e-ummeed kaar-khana-e-tifli
yaas ko do-aalam se lab-b-khanda wa paaya
kyoon na wahshat-e-ghaalib baaz-khwaah-e-taskin ho
kushta-e-taghaaful ko khasm-e-khoon-baha paaya
fikr-e-naala mein goya halqua hoon ze-sar-ta-pa
uzw uzw joon zanjeer yak-dil-e-sada paaya
shab nazaara-parwar tha khawaab mein khayaal us ka
subh mauja-e-gul ko naqsh-e-boriya paaya
jis quadar jigar khoon ho koocha daadan-e-gul hai
zakhm-e-tegh-e-quatil ko turfa dil-kusha paaya
hai makin ki pa-daari naam-e-saahib-e-khana
ham se tere kooche ne naqsh-e-muddaa paaya
ne asad jafa-saail ne sitam junoon-maail
tujh ko jis quadar dhoonda ulfat-aazma paaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai