kabhi neki bhi us ke ji mein gar aa jaae hai mujh se
jafaaein kar ke apni sharma jaae hai mujh se
khudaaya jazba-e- ki magar taaseer ulti hai
ki jitna kheenchata hoon aur khinchata jaae hai mujh se
wo bad-khoo aur meri daastaan-e-ishq toolaani
ibaarat mukhtasar quasid bhi ghabra jaae hai mujh se
udhar wo bad-gumaani hai idhar ye naa-tawaani hai
na poochha jaae hai us se na bola jaae hai mujh se
sambhalne de mujhe ai naa-ummeedi kya quayaamat hai
ki daamaan-e-khayaal-e-yaar chhoota jaae hai mujh se
takalluf baratraf nazzaargi mein bhi sahi lekin
wo dekha jaae kab ye zulm dekha jaae hai mujh se
hue hain paanw hi pahle nabard-e-ishq mein zakhmi
na bhaaga jaae hai mujh se na thahra jaae hai mujh se
quayaamat hai ki howe muddai ka ham-safar ghaalib
wo kaafir jo khuda ko bhi na saumpa jaae hai mujh se
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai