kab wo sunta hai kahaani meri
aur phir wo bhi zabaani meri
khalish-e-ghamza-e-khoon-rez na poochh
dekh khoonnaaba-fishaani meri
kya bayan kar ke mira roenge yaar
magar aashufta-bayaani meri
hoon z-khud rafta-e-baida-e-khayaal
bhool jaana hai nishaani meri
mutquabil hai muquabil mera
ruk gaya dekh rawaani meri
quadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hoon
arzan hai giraani meri
-baad-e-rah-e-betaabi hoon
sarsar-e-shauque hai baani meri
dahan us ka jo na maaloom hua
khul gai hech madaani meri
kar diya zof ne aajiz ghaalib
nang-e-peeri hai jawaani meri
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai