juz quais aur koi na aaya b-roo-e-kaar
sahra magar b-tangi-e-chashm-e-hasood tha
aashuftagi ne naqsh-e-suwaida kiya durust
zaahir hua ki daagh ka sarmaaya dood tha
tha khawaab mein khayaal ko tujh se muaamla
jab aankh khul gai na ziyan tha na sood tha
leta hoon maktab-e--e-dil mein sabaque hanooz
lekin yahi ki raft gaya aur bood tha
dhaampa ne daagh-e-uyoob-e-barhangi
main warna har libaas mein nang-e-wajood tha
teshe baghair mar na saka kohkan asad
sargashta-e-khumaar-e-rusoom-o-quyood tha
aalam jahan b-arz-e-bisaat-e-wajood tha
joon subh chaak-e-jeb mujhe taar-o-pood tha
baazi-khur-e-fareb hai ahal-e-nazar ka zauque
hangaama garm-e-hairat-e-bood-o-nabood tha
aalam tilism-e-shahar-e-khamoshi hai sar-basar
yaa main ghareeb-e-kishwar-e-guft-o-shunood tha
tangi rafeeque-e-rah thi adam yaa wajood tha
mera safar b-taala-e-chashm-e-hasood tha
tu yak-jahan quamaash-e-hawas jama kar ki main
hairat-mata-e-aalam-e-nuqsaan-o-sood tha
gardish-muheet-e-zulm raha jis quadar falak
main paaemaal-e-ghamza-e-chashm-e-kabood tha
poochha tha garche yaar ne ahwaal-e-dil magar
kis ko dimaagh-e-minnat-e-guft-o-shunood tha
khur shabnam-aashna na hua warna main asad
sar-ta-quadam guzaarish-e-zauque-e-sujood tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai