jis ja naseem shaana-kash-e-zulf-e-yaar hai
naafa dimaagh-e-aahu-e-dasht-e-tataar hai
kis ka suraagh jalwa hai hairat ko ai
aaeena farsh-e-shash-jahat-e-intizaar hai
hai zarra zarra tangi-e-ja se -e-shauque
gar daam ye hai wusaat-e-sahra shikaar hai
dil muddai o deeda bana mudda-alaih
nazzaare ka muqaddama phir roo-b-kaar hai
chhidke hai shabnam aaeena-e-barg-e-gul par aab
ai andaleeb waqt-e-wada-e-bahaar hai
pach aa padi hai waada-e-dil-daar ki mujhe
wo aae yaa na aae pe yan intizaar hai
be-parda soo-e-waadi-e-majnoon guzar na kar
har zarra ke naquab mein dil be-quaraar hai
ai andaleeb yak kaf-e-khas bahar-e-aashyan
toofaan-e-aamad aamad-e-fasl-e-bahaar hai
dil mat ganwa khabar na sahi sair hi sahi
ai be-dimaagh aaeena timsaal-daar hai
ghaflat kafeel-e-umr o asad zaamin-e-nashaat
ai marg-e-naa-gahan tujhe kya intizaar hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai