jis bazm mein tu naaz se guftaar mein aawe
jan kaalbad-e-soorat-e-deewar mein aawe
saae ki tarah saath phirein sarw o sanobar
tu is quad-e-dilkash se jo gulzaar mein aawe
tab naaz-e-giran maaigi-e-ashk baja hai
jab lakht-e-jigar deeda-e-khoon-baar mein aawe
de mujh ko shikaayat ki ijaazat ki sitamgar
kuchh tujh ko mazaa bhi mire aazaar mein aawe
us chashm-e-fusoon-gar ka agar paae ishaara
tooti ki tarah aaeena guftaar mein aawe
kaanton ki zaban sookh gai pyaas se yaa rab
ik aabla-pa waadi-e-pur-khaar mein aawe
mar jaaoon na kyoon rashk se jab wo tan-e-naazuk
aaghosh-e-kham-e-halqua-e-zunnaar mein aawe
ghaarat-gari-e-naamoosh na ho gar hawas-e-zar
kyoon shaahid-e- baagh se bazaar mein aawe
tab chaak-e-gareban ka mazaa hai -e-naalan
jab ik nafas uljha hua har taar mein aawe
aatish-kada hai seena mira raaz-e-nihan se
ai waae agar maariz-e-izhar mein aawe
ganjeena-e-maani ka tilism us ko samjhiye
jo lafz ki ghaalib mire ashaaar mein aawe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai