jaraahat-tohfa almaas-armughan daagh-e-jigar hadiya
mubaarakbaad asad -khwaar-e-jaan-e-dardamand aaya
junoon garm intizaar o naala betaabi kamand aaya
suwaida ta b-lab zanjeeri dood sipand aaya
mah akhtar fashan ki bahar istiqubaal aankhon se
tamaasha kishwar aaeena mein aaeena band aaya
taghaaful bad-gumaani balki meri sakht jaani se
be hijaab naaz ko beem gazand aaya
faza khanda gul tang o zauque aish be parda
faraaghat gaah aaghosh widaaa dil pasand aaya
adam hai khair khwaah jalwa ko zindaan betaabi
khiraam naaz barque khirman sai sipand aaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai