jab tak dahaan-e-zakhm na paida kare koi
mushkil ki tujh se -e-sukhan wa kare koi
aalam -e-wahshat-e-majnoon hai sar-b-sar
kab tak khayaal-e-turra-e-laila kare koi
afsurdagi nahi tarab-insha-e-iltifaat
han dard ban ke dil mein magar ja kare koi
rone se ai nadeem malaamat na kar mujhe
aakhir kabhi toh uqda-e-dil wa kare koi
chaak-e-jigar se jab rah-e-pursish na wa hui
kya faaeda ki jaib ko ruswa kare koi
lakht-e-jigar se hai rag-e-har-khaar shaakh-e-gul
ta chand baagh-baani-e-sahra kare koi
naakaami-e-nigaah hai barque-e-nazaara-soz
tu wo nahi ki tujh ko tamaasha kare koi
har sang o khisht hai sadaf-e-gauhar-e-shikast
nuqusan nahi junoon se jo sauda kare koi
sar bar hui na waada-e-sabr-aazma se umr
fursat kahan ki teri tamannaa kare koi
hai wahshat-e-tabeeat-e-ijaad yaas-khez
ye dard wo nahi ki na paida kare koi
bekaari-e-junoon ko hai sar peetne ka shughl
jab haath toot jaaein toh phir kya kare koi
husn-e-farogh-e-shamma-e-sukhan door hai asad
pahle dil-e-gudaakhta paida kare koi
wahshat kahan ki be-khudi insha kare koi
hasti ko lafz-e-maani-e-anqua kare koi
jo kuchh hai mahaw-e-shokhi-e-abroo-e-yaar hai
aankhon ko rakh ke taaque pe dekha kare koi
arz-e-sarishk par hai faza-e-zamaana tang
sahra kahan ki daawat-e-dariya kare koi
wo shokh apne husn pe maghroor hai asad
dikhla ke us ko aaina toda kare koi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai