jaada-e-rah khur ko waqt-e-shaam hai taar-e-shuaaa
charkh wa karta hai maah-e-nau se aaghosh-e-widaaa
shama se hai bazm-e-angusht-e-tahayyur dar dahan
shola-e-aawaaz-e-khooban par b-hangaam-e-simaaa
joon par-e-taaoos jauhar takhta mashque-e-rang hai
bas-ki hai wo quibla-e-aaeena mahaw-e-ikhtiraaa
ranjish-e-hairat-sarishtan seena-saafi peshkash
jauhar-e-aaeena hai yan gard-e-maidaan-e-nazaaa
chaar soo-e-dahar mein -e-ghaflat garm hai
aql ke nuqusan se uthta hai khayaal-e-intifaaa
aashna ghaalib nahi hain -e-dil ke aashna
warna kis ko mere afsaane ki taab-e-istimaaa
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai