huzoor-e-shaah mein ahal-e- ki aazmaaish hai
mein khush-nawaayaan-e-chaman ki aazmaaish hai
quad o gesoo mein quais o kohkan ki aazmaaish hai
jahan ham hain wahan daar-o-rasan ki aazmaaish hai
karenge kohkan ke hausle ka imtihaan aakhir
abhi us khasta ke nerwe tan ki aazmaaish hai
naseem-e-misr ko kya peer-e-kanaan ki hawa-khwaahi
use yoosuf ki boo-e-pairhan ki aazmaaish hai
wo aaya bazm mein dekho na kahiyo phir ki ghaafil the
shakeb-o-sabr-e-ahal-e-anjuman ki aazmaaish hai
rahe dil hi mein teer achchha jigar ke paar ho behtar
gharaz shust-e-but-e-naawak-fagan ki aazmaaish hai
nahi kuchh subha-o-zunnaar ke phande mein geeraai
wafaadaari mein shaikh o barahman ki aazmaaish hai
pada rah ai dil-e-waabasta betaabi se kya haasil
magar phir taab-e-zulf-e-pur-shikan ki aazmaaish hai
rag-o-pay mein jab utre zahar-e-gham tab dekhiye kya ho
abhi toh talkhi-e-kaam-o-dahan ki aazmaaish hai
wo aawenge mire ghar waada kaisa dekhna ghaalib
nae fitnon mein ab charkh-e-kuhan ki aazmaaish hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai