ghamze ki kashaakash se chhuta mere baad
baare aaraam se hain ahal-e- mere baad
mansab-e-sheftagi ke koi quabil na raha
hui maazooli-e-andaaz-o-ada mere baad
shama bujhti hai toh us mein se dhuan uthta hai
shola-e-ishq siyah-posh hua mere baad
khoon hai dil khaak mein ahwaal-e-butan par yaani
un ke naakhun hue muhtaaj-e-hina mere baad
dar-khur-e-arz nahi jauhar-e-bedaad ko ja
nigah-e-naaz hai surme se khafa mere baad
hai junoon ahal-e-junoon ke liye aaghosh-e-widaaa
chaak hota hai gareban se juda mere baad
kaun hota hai hareef-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq
hai mukarrar lab-e-saaqui pe sala mere baad
gham se marta hoon ki itna nahi duniyaa mein koi
ki kare taaziyat-e-mehar-o-wafa mere baad
aae hai beksi-e-ishq pe rona ghaalib
kis ke ghar jaaega sailaab-e-bala mere baad
thi nigah meri nihan-khana-e-dil ki naqquab
be-khatar jeete hain arbaab-e-riya mere baad
tha main guldasta-e-ahbaab ki bandish ki giyaah
mutfarrique hue mere rufqua mere baad
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai