-e-mah garche b-hangaam-e-kamaal achchha hai
us se mera mah-e-khursheed- achchha hai
bosa dete nahi aur dil pe hai har lahza nigaah
ji mein kahte hain ki muft aae toh maal achchha hai
aur bazaar se le aae agar toot gaya
saaghar-e-jam se mira jaam-e-sifaal achchha hai
be-talab dein toh mazaa us mein siwa milta hai
wo gada jis ko na ho khoo-e-sawaal achchha hai
un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaque
wo samajhte hain ki beemaar ka haal achchha hai
dekhiye paate hain ushshaaque buton se kya faiz
ik barahman ne kaha hai ki ye saal achchha hai
ham-sukhan tesha ne farhaad ko sheerin se kiya
jis tarah ka ki kisi mein ho kamaal achchha hai
quatra dariya mein jo mil jaae toh dariya ho jaae
kaam achchha hai wo jis ka ki maaal achchha hai
khizr-sultan ko rakhe khaalique-e-akbar sarsabz
shaah ke baagh mein ye taaza nihaal achchha hai
ham ko maaloom hai jannat ki haqueeqat lekin
dil ke khush rakhne ko ghaalib ye khayaal achchha hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai