hujoom-e- se yan tak sar-nigooni mujh ko haasil hai
ki taar-e-daaman o taar-e- mein farque mushkil hai
rafoo-e-zakhm se matlab hai lazzat zakhm-e-sozan ki
samjhiyo mat ki paas-e-dard se deewaana ghaafil hai
wo gul jis gulsitan mein jalwa-farmaai kare ghaalib
chatakna ghuncha-e-gul ka sada-e-khanda-e-dil hai
hua hai maane-e-aashique-nawaazi naaz-e-khud-beeni
takalluf-bar-taraf aaeena-e-tamaeez haael hai
b-sail-e-ashk lakht-e-dil hai daaman-geer mizgan ka
ghareeque-e-bahar jooya-e-khas-o-khaashaak-e-saahil hai
baha hai yan tak ashkon mein ghuba-e-kulfat-e-khaatir
ki chashm-e-tar mein har ik paara-e-dil pa-e-dar-gil hai
nikalti hai tapish mein bismilon ki barque ki shokhi
gharaz ab tak khayaal-e-garmi-e-raftaar quatil hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai