hui taakheer toh kuchh baais-e-taakheer bhi tha
aap aate the magar koi inan-geer bhi tha
tum se beja hai mujhe apni tabaahi ka gila
us mein kuchh shaaib-e-khoobi-e-taqudeer bhi tha
tu mujhe bhool gaya ho toh pata batla doon
kabhi fitraak mein tere koi nakhcheer bhi tha
quaid mein hai tire wahshi ko wahi zulf ki
han kuchh ik ranj-e-giran-baari-e- bhi tha
bijli ik kaund gai aankhon ke aage toh kya
baat karte ki main lab-tishna-e-taqureer bhi tha
yoosuf us ko kahoon aur kuchh na kahe khair hui
gar bigad baithe toh main laaique-e-taazeer bhi tha
dekh kar ghair ko ho kyoon na kaleja thanda
naala karta tha wale taalib-e-taaseer bhi tha
peshe mein aib nahi rakhiye na farhaad ko naam
ham hi aashufta-saron mein wo jawan-meer bhi tha
ham the marne ko khade paas na aaya na sahi
aakhir us shokh ke tarkash mein koi teer bhi tha
pakde jaate hain farishton ke likhe par naa-haque
aadmi koi hamaara dam-e-tahreer bhi tha
rekhte ke tumhin ustaad nahi ho ghaalib
kahte hain agle zamaane mein koi meer bhi tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai